Feed burner ke baare me toh aapne kabhi na kabhi jarur suna hoga. Ek successful blogger banne ke liye feed burner ke baare me pata hona bahut hi important hain.
Feed burner ke baare me har ek important baat iss post me batayi gyi hain jise step by step follow karke aap bhi apne blog me ye service start kar sakte hain wo bhi free me. Isse pahle ki aage badhe iske baare me jaan lete hain.
Feed Burner Kya Hain
Feed burner google ki website hain, jo free me automatic new post ki notification email ke through send karwane ki service hain, jo blogger par bane blog or website par work karti hain.
Technically na batakar aasaan word me kahe toh aapne kabhi kisi blogger ke blog or website me email subscribe ka widgets jarur dekha hoga, isme hota ye hain ki koi visiter email par subscribe karta hain jisse uss blog par new post publish hote hi subscriber ke paas uss post ki notification send ho jaati hain, or wo uss blog ko visit karta hain jisse blog par traffic badhta hain.
Feed Burner Account Kaise Banaye Step By Step Details In Hindi
Following steps ko follow karke aap bhi apne blog ke liye feed burner service ka use karke apne traffic ko improve kar sakte hain.
Step 1.
- Ab box me apne blog or website ka address enter kare.
- Click kare right ka nishan show hoga.
- Next par click kare.
Step 2.
- First round circle ko salect kare.
- Next par click kare.
Step3 .
- Yaha par apne blog ka title enter karna hain.
- Yaha apne blog ka address haa .com nahi lagana hain.
- Next par click kare.
Step 4.
- Blue colour wale url ko copy karke apne computer me save karke rakhe yahi aapke feed burner ka url hain jise baad me blog me add karne ki jarurat padegi.
- Next par click kare.
Step 5.
- Include "Media Rss" ko salect kare.
- Next par click kare.
Step 6.
- Clickthrough wale option ko salect kare.
- I want more wale option ko salect kare.
- Next par click kare.
Feed burner account ban chuka hain, isko apne blog me add karne ki jarurat hoti hain. Iske liye niche diye steps ko follow kare.
Feed Burner Url Ko Blog Se Kaise Connect Kare
Feed burner account banane ke baad iss service ka faayda uthane ke liye feed burner ko blog se connect karne ki jarurat hoti hain iske liye. Sabse pahle blog dashboard open kare.
- Setting par click kare.
- Jo upar url copy kiya tha wo url yaha paste kare.
- Save template par click kare.
Ab apne blog ka traffic badhana start kare jab bhi koi aapke blog par aakar email subscribe karega uske paas future me publish hone wali post ki notification pahunchegi or visitor baar baar blog ko visit karenge.
Feed Burner account banane or blog me Feedburner Url add karne ke baad ise activate karne or widgets ko add karne ki need hoti hain. Iske liye niche di gyi link par click kare.
Ye Post Bhi Jarur Padhe
Intrapreneur Motivational Biography And Success Tips In Hindi
Antivirus Kya Hote hain Free Me Antivirus Kaise Download Kare : Security Tips
Instagram Par Auto Follower Like Commant kaise Badhaye Cheat In Hindi
Instagram Par Auto Follower Like Commant kaise Badhaye Cheat In Hindi
Friends "Feed Burner Par Account Kaise Banate hain Latest Tips In Hindi" aapko hamara ye article kaisa laga hame commant karke batahiye or iss post ko social sites facebook, google plus par bhi jarur kare Thankyou.
worlds most popular blog about tips & tricks this blog provide all kind of tips & tricks like blogger, health, mobile, desktop, windows, google, java, sql, oracle, html, maths, science, english, hindi, blogs, websites games and much more.. go to ==>> https://mkbloggers.blogspot.in/
जवाब देंहटाएं