मंगलवार, 8 नवंबर 2016

How To Become A Professional Blogger Unique Tips In Hindi


Aaj ke time me blogger banna itna aasaan ho gya hain ki jaise facebook use karna. Dekha jaaye toh har dusra insaan blogger hain. Blogging karna alag baat hain or professional blogger banna alag.

Blogging ke basic knowledge ke koi bhi blogging start kar sakta hain or blogger ban sakta hain, but blogging start karne ke kuchh hi time me bored ho jaata hain or blogging karna band kar deta hain. Toh koi blogging karne ke baad earnning nahi hone par bhi blogging band kar deta hain.

Ek professional blogger vahi hota hain jo kisi bhi condition me blogging karna band nahi karta, iske liye ek professional blogger kya kya steps follow kare iss post me diye gye hain jisse koi bhi iss profession me apna careere bana sakta hain.

Professional Blogger Banne Ki Tips In Hindi


Tips 1. Blogging Me Intrest Rakhna


Professional blogger banne ka pahla step yahi hain ki blogging start karne se pahle isme intrest banana bahut jaruri hain. Apne intrested topic ko choose kare and uske baare me google par bane related blog ko search kar puri details pata karne ke baad hi us topic par blogging start karni chahiye. Ek professional blogger aisa hi karta hain.

Blogging me intrest rakhne ka sabse bada banifit hota hain ki aap kabhi bhi blogging se bored nahi hote or apni pasand ke topic par post likh sakte hain. Iske alawa in future post ko reguler update kar payenge.
Intrested topic choose karne se blogging ke sath sath aapka knowledge bhi badhega jo bahut kaam ka hain.

Tips 2. Reguler Update Rahna 


Blog banane ke baad professional blogger banne tak ka safar pura hone tak internet par update rahana jaruri hain. Update rahne ka matlab ye nahi ki 24 hours internet use kare, update rahne se matlab hain apne blog se related internet par research karke post likhe.

New new update dene se visitor regulery blog visit karenge jo future me professional blogger banne me aapki help karega.

New update karne ke alawa purani post par bhi dhyaan dena bahut hi jaruri hain. Iske liye purani post me changes karne use bhi update kare.

Tips 3. Visitor Problem Ka Solutions Karna


Blog aisi chij hain jo logo tak information ko pahunchane ka kaam karta hain. Agar aapke blog par visitor aate hain iska matlab hota hain ki wo aapke blog me intrested hain iske alawa visitor ko koi problem aati hain toh uska solution bhi aapko hi karna hain.

Information dene ke liye visitor dwara kiye commant ka reply karke de sakte hain. Commant aisa kare ki har kisi ko apni problem ka solution mil sake.

Commant karne ke sath sath email dwara bhi aap visitor ki help kar sakte hain. Professional blogger ki yahi khas baat hoti hain jo unhe success dilati hain.

Tips 4. Email List Building Karna


Email build karne se matlab hain new post ki information  ko email ke through send karke visitor ko apne blog par invitation send kar sakte hain.

Adsense se lekar affiliate marketing karne ke liye bhi email build karna bahut hi jyada jaruri hain, professional blogger ki success ka sicrate yahi hain. Unke blog par 20-30% traffic or earning email building se hi hoti hain.

Email building karne ke liye kai options hain jaise social media ke through, feed burner widgets ko blog me add karna etc.

Tips 5. Post Perfact Optimize Karna


Post ko perface optimize karne se matlab hain post ko SEO friendly banana or sahi tarah se keyword ka use karke publish karna.

New blogger yahi mistake karta hain ki bina kisi realted website ko dekh kar sidhe hi post publish kar deta hain jisse uska quality article bhi kharab SEO ki vajah se rank nahi ho pata or blogger dipress hokar blogging chhod deta hain.

Perfact optimize karne ke liye kai baato ka dhyan rakhna jaruri hain jaise



  • Post title me keyword ka use karna
  • Permalink me bhi keyword ka use karna.
  • Post me important word ko bold, italic, underline, highlight karna.
  • Heading ka proper use karna.
  • Image me alt-tag, title, compress etc ka dhyan rakhna.
  • External link, internal link ke sath post publish karna.


Tips 6. Website Ki Backlink Banana


Ek perfact website ya blog tab hi professional banta hain jab visitor kisi dusri site se aapki site par aata hain. Isliye apni website or blog ko google ki jyada se jyada related website se connect karne ke liye backlink ka use karna jaruri hain.

Website Or Blog Ki Backlink Kaise Banaye


Backlink banane ke liye apni website se related website par guest post kar sakte hain. Guest post karne ke baad apni website ka url us guest post ke niche de sakte hain, jisse koi bhi visitor us post ko padhega or url par click karta hain toh wo sidhe hi aapki website or blog par aa jayega.

Backlink prapt karne ka dusra tarika hain commant karna. Iske liye jis topic par blog banaya hua hain usse related blog or websites par commant kar sakte hain jisse bhi aapke website ko backlink mil jaati hain. or aapka blog quality test me apni position increase kar sakta hain.

Tips 7. Related Blog Or Website Post Read Karna


Ek achcha blogger vahi hota hain jo apne blog se related blog ke post or article ko read karke ek achcha article ready karta hain or apne blog par publish karta hain.

Post ko publish karne se pahle search karna bahut achcha rahta hain, jitne jyada blog search karte ho usse utna hi achcha knowledge visitor ko share kar sakte ho. Iske alawa dusre blogger se contact karna achcha rahta hain. Iske kai banifits hain.

Blogging me aayi kisi bhi problem ka solutions mil sata hain.
Post ka feed back review le sakte hain.
Technicle help and advise mil sakti hain.

Tips 8. Youtube, Facebook, Instagram Social Media Ka Use Karna


Blogging ka success mantra social media hain jo kisi bhi blogger or blog dono ko hi raato raat famous kar sakta hain ya kisi famous blogger ko jameen par la sakta hain.

Blogging me careere banane ke liye or professional blogger banne ke liye social media vaise hi hain jaise jaise sim ka network se relation. Blog banane ke baad sabse pahla kaam yahi hain ki blog ko social media se connect karna.

Social media ke through koi bhi post kabhi bhi viral ho sakti hain jisse koi vistor direct aapke blog par na aakar sidhe hi social media link ke through blog visit karta hain. jisse aapki site rank and bounce rate ke sath sath kai banifit milte hain.

Tips 9. Blogging Ko Business Kaise Banaye

Blogging ko business banana hain ya hobby ki tarah use karna hain ye har blogger ki personal choice hoti hain. But ham yahi kahenge ki business ko pahle hobby se start kare jisse blog me aapka intrest bana rahega or aap ek na ek din jarur success haasil kar paayenge.

Dusra hain blog ko business ke roop me use karna or earnning ke baare me sochna. Blog banane ke baad har koi yahi chchta hain ki uski bhi income start ho jaaye but kuch hi dino me earnning nahi hone par blogging ko chhod deta hain jisse in future uske mind me yahi aata hain ki blogging me income nahi hain or isme careere banana mushkil hain.

Blogging me career banana mushkil nahi hain agar aap bhi earnnig ke baare me na sochkar intrest ke sath blogging karte hain toh ek na ek din aapko guarantee ke sath success jarur milegi.

Ye Post Bhi Jarur Padhe 

Latest Tips For Download Android Apk From Google Play Store In Hindi

Best Hindi Tips For Create Fake Chat On Whats App {Whats App Security}

Hacker Se Bachna Hain Toh Banahiye Fake Mail Id [Security Tips]

SEO Friendly Permalink Kya hoti Hain Or Blog Post Me Iska Kaise Use Kare

Learn foreign Language English France And More In 7 days Tips In Hindi

Friends "How To Become A Professional Blogger Unique Tips In Hindi" is post ko apne friends ke sath social sites facebook, google+ par bhi jarur share kare Thanks.

2 टिप्‍पणियां:

  1. Lebara recharge online

    Welcome to RechargeGenie mobile recharge company in Spain. We provide the borderless mobile recharge and International mobile recharge services for your prepaid phones. RechargeGenie offers easy Vodafone mobile recharge online by phone, Contact us.

    to get more - https://rechargegenie.com/

    जवाब देंहटाएं