सोमवार, 6 जून 2016

What Is IP Address Janiye IP Address Se Related Top 5 Jankari In Hindi

What Is IP Address Janiye IP Address Se Related Top 5 Jankari In Hindi


Dosto Agar Aap Log internet Use karte hai to sabki ip address kya hai sabko malum hi hoga ye kaise kaam karta hai aur iska kya kaam hai kya hum isse safe rakh sakte hai aur kya hum apna ip address change kar sakte hai in sab sare saballo ka jawab aaj mai apne is post me batane wala hu agar aap ip address ke bare me jyada jankari nahi hai to aapko is post me top 5 tricks ip address ke bare me hi batane wala hu mere bahut se aise friend hai jo mujhe apna ip address change ya safe rehne ki kosis karte hai in sabhi sawalo ke jawab mai aapko is ek hi post me bataunga agar aap dhyan se read kare tab aur jaha tak samajhne ki baat hai mai puri kosis karunga ki aapko samajhne me aasani ho


Dosto aaj kal mai dekh raha internet par bahut sare boys new new tricks ki talash me aate hai ki market me unko naya tricks mil jaye uske pass us tricks ka jankari mile yes sahi hai lekin jo kuch important tricks hai jo aapko hackers se safe rakhte iske liye aapko ip address ke bare me bhi thoda jankari hona chahiye chaliye jante hai

Computer/Laptop aur Android Smart Phone Me Apna IP Address Kaise Pata Kare



Dosto yaha par mai aapko computer laptop se aur mobile se ip address nikalne ke bare me batane wala hu matlab ki aapko agar ye jaanna hai ki aapke computer aur aapke mobile ka ip kya hai to aap is tricks ko padhe


Computer/Laptop Me Apna IP Address Kaise Pata Kare:


1. sabse pehle aap apna pc laptop on karle phir Run Box Open Kare Window+r Press Karke Usme Aapko CMD type karke Enter Press karna hai

2. phir uske baad aap usme ye type kare IPCONFIG phir Enter Press Kare

Ab aapke computer ya laptop ka ip address aaja yega



Android Smart Phone Me iP Address Kaise Pata Kare

Dosto mobile me bhi ip address pata karna bahut simple aaeye jante hai
sabse pehle yaha click kare myipaddress.com is website ko open hote hi aapka ip address show hone lagega kuch is prakar

ip-address-kaise-pata-kare



to dosto aap log computer ka bhi ip address is website se paa sakte hai



Dosto Aage mai aapko aapka ip address hide karne ke bare me batane wala hu

Android Aur Pc Me Apna Ip Address Kaise Hide Kare


Dosto android aur pc me ip address kaise hide kare iski jankari bhi bahut simple hai means ki ye bhi hum ek website ke madhyam se hi karne wale hai aaj internet par bahut se aise website hai jo hamare security ko control karne ke liye ipaddress hide karte hai jineme se kuch websites ke naam mai aapko bata raha hu waha par jaker aap apna ip address hide kar sakte hai dhyan rahe ye sites sirf android pc aur mac me hi khulega maine niche links diye hai websites ke



Dhyan rahe ye bahut hi sequre site hai isper aapka net traffic hone ke karan slow chal sakta hai


Dosto ab aapne sikh liya ki ip address kaise hide karte hai android aur pc me lekin ab mai aapko kuch aur hi batane wala hu jo android ke liye hai


Android Ka IP Address Kaise Change Kare


Agar aapka ip address ko jan gaya hai ya koi usse aapko disturb karta hai aur aap apna ip address change karna chahte hai to aap mere step ko shyan se read kare ip address change karne ke liye


ye bhi bahut simple step hai lekin iske liye aapka android root hona chahiye tabhi aap is trick ke jariye ip address change kar sakte hai mobile root karne ke liye ye step padhe

Step 1: sabse pehle google playstore se ek app download kare jiska naam android id changer hai uske baad aap ise apne mobile me install karde phir open kare
android-id-changer


Step 2: uske baad aap icon par click karna hai phir new ip address dalna hai bas ho gaya


What Is Public IP Address And Private IP Address Janiye Hindi Me

Dosto yaha par mai aapko public aur private ip address ke bare me batane wala hu jiski jankari aapke liye important ho sakta hai aane wale dino me isi liye aap isko samajh jarur le ki ye kya hota hai public IP aur Private Ip me kya fark hota hai


Sabse pehle aapko bata du ki ip address A, B, C, Tino tarah ke public ip Adress hote hai

A. isme 0 se lekar 128 isme aapko 0 range 127 wala range ye special hai easily bhasa me bata du ki ye 1 se 126 tak ke range me aajata hai jo ki hamare  bade kisi enterprises ke liye thi public ip address ke screenshot de raha hu aap dekh sakte hai

public-ip-address-ss


B. isme ke ip address medium traders company ke liye thi aur c class ke ip address bilkul customize kiya jaa sakta hai jo ki ise hum private ip address kehte hai ye sari batte kuch jyada important nahi tha aapke liye but kuch to jarur hi samajh gaye honge magar ab jo mai aapko batane wala hu wo aapke liye bahut kaam aasakta hai aur jaruri bhi hai



To dosto dekha aapne kaise hota hai sab mujhe ummid hai ye post aapko pasand aaye aur haa jaha par kuch samajh naa aaye ya kuch puchna ho to aap hame comment me puch sakte hai


Read More;


Dosto agar ye post pasand aaya hai to apne dosto ke pass jarur share kare mera page yaha se Like Page like jarur kare thanks like karne ke liye dosto

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें