शनिवार, 4 जून 2016

Wapka Par Songs Video Download Karne Wala Website Kaise Bnaye

Wapka Par Songs Video Download Karne Wala Website Kaise Bnaye



Dosto aaj internet par website aur blog bnana bahut aasan hai kyoki aaj kal internet par bahut sari website aur tool hai jo aapko muft me website blog bnane ko deti hai hai jaise blogger.com ko hi dekha jaye to ye aaj bahut popular hai jo muft me blog bnaya jaa sakta hai aur ye google ka hi ek service hai lekin mai aaj aap logo ko ye bataunga ki wapka par muft website kaise bnate hai waise wapka ko khas songs video download karne wali website ke liye bnaya gaya hai agar aap bhi apna song aur vdeo apne website par daker website bnana chahte hai to aaeye jante hai kaise bnaye songs video download karne wali website


Waise to bina coding ki jankari ke koi bhi website handle nahi kiya jaa sakta hai lekin mai yaha par aapko bina coding ke jankari ke bina bhi website bnane ki tarika bataunga bas aap mere step ko follow kare aur aap is post ki madad se songs video games download wali website bana sakte hai aur jaha tak earning ki baat hai aap isse paise bhi kama sakte hai to chaliye dosto jante hai kaise

wapka-par-site-bnaye


Songs Video Download Karne Wala Website Kaise Bnaye Wapka Par



Dosto wapka par songs video download karne wali website bnane se pehle aapko kuch important baat mai aapko batana chahuga jo aapko jarurat padegi wapka par free website bnane ke liye aur hai gmail id bas to dosto start karte hai songs video wali website bnana


Step 1: sabse pehle aapko google me jaker wap.wapka.com open kare waha par aapko passport sign up par click karna hai

wapka-site-maker


Jisme aapko 1. Apna email id dalna hai 2.password dalna hai 3. pahir wahi password dobaradalna hai 4. aap apne website kaa naam dale phir sign up par click kare

Note :
agar site name error aata this site is already taken iska matlab ye site aage hi ban chuka hai aap dusra naam dalke try kare


Step 2: sign up par click kar dene ke baad aapke email par conformation message aayega jispar aap click karke email id conform karle


uske baad aapko apne browser me successfully conformed ka notice dikhae dega iska matlab aapka website ab ban chuka hai ab aapko apne website ko handle karne ke liye dobara login karna padega aaeye jante hai


sabse pehle wap.wapka.com me jaker login par click kare apna email aur password dalke login kare uske baad aap apne website ko handle kar sakte hai



Dosto ab mai aage ki process mai apne aane wali post me batane wala hu ki kaise hum apne wapka website ko handle kare usme songs video kaise upload kare

aur dusra ye bhi bataunga ki hum wapka site se paise kamate hai tab tak ke liye itna hi aage ki jankari mai bahut jald publish karunga



Last Word 4 U :

Dosto abhi maine aap logo ko ye bataya hai ki wapka par songs video app download karne wala website kaise bnate hai aur mai last word me sirf ye hi kehna chahta hu ki agar aapko kahi par koi dikkat aata hai to aap hame comment karke puch sakte hai


More post:



Dosto agar aapko ye mera post pasand aaya hai to aap hamre sis post ko jarur share kare aur facebook page jarur like kare yaha se Like Kare

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें