बुधवार, 28 सितंबर 2016

Net Banking Kya Hoti Hain Net Banking Ka Use Kaise Kare Tips In Hindi



Net banking ka means inernet ke through banking karna jaise money transfer karna, recieve karna, bill pay, recharge etc. Digital india ke iss period me har koi new new technology ka use kar raha hain aise me bank bhi ab online ho gye hain. Agar aap kisi bhi bank ke account holder hain toh aapko ye jarur janna chahiye ki internet banking kya hoti hain. or iska use kaise karte hain wo bhi hindi me full details.

Internet banking ka use account holder ko facility provide karwana hain. jisse account holder ko baar baar bank ke chakkar lagane ki jarurat nahi pade. Vaise toh ATM ka use karke bhi aap money send kar sakte hain but iske liye ATM tak jana padta hain, but Net banking ke through ghar baithe banking kar sakte hain. Internet banking ka use social sites facebook, instagram, paytm use karne jitna hi aasaan hain.

Internet banking se bank se related har details ghar baithe kabhi bhi kahi bhi access kar sakte hain. net banking me user ko account balance check se lekar fund transfer karne ki facility provide hoti hain.

Internet Banking Ki Facility In Hindi


1 Open Account

Internet Banking ke through aap chahe kahi bhi ho kisi bhi dusre bank me account open kar sakte hain ya apna account saving se current account me convert kar sakte hain. Ya new account open kar sakte hain. account ko close karne ke liye bhi bank jaane ki jarurat nahi hoti hain.

2 Balance Check

Internet banking ke through account holder Bank balance check karne ki facility ke alawa pahle ke last 10 transection check kar sakte hain.
3 Apply For Banking Facility
Agar aap new passbook, check book, ATM card, dabit card ke liye apply karna chahte hain toh aapko bank tak jaane ki jarurat nahi hogi iske liye aap internet banking ka use karke bhi apply kar sakte hain.

4 Online Payment

Iske through kisi bhi bill ka payment online kar sakte hain jaise - light bill, telephone bill, school fees, DTH recharge, mobile recharge etc. online shopping karne ke liye bhi net banking ke jarurat padti hain.

5 Fund Transfer

Internet banking ke through kisi bhi friends, or relative ko kahi bhi 24 hours me apne account se fund transfer karne ki facility milti hain.

6 No Time Limit 

Bank ka work monday to friday hi hota hain or wo bhi 10 am to 4 pm iske alawa hamei apne kaam ko next working me karna padta hain aise me internet banking ka use karne ki koi time limit nahi hoti ham jab chahe apna bank ka kaam kar sakte hain, internet banking ka use 24 hours me kabhi bhi kiya ja sakta hain.

7 Use In Mobile Or Computer

Internet banking ki sabse achchhi baat ye hain ki iska use computer ke sath sath Android mobile me bhi kar sakte hain iske liye android mobile me uss bank ki app download karne ki need hoti hain.
Internet Banking Ke Liye Apply/Active Kaise kare

Net Banking Ke Liye Apply Kaise Kare




Internet banking ki facility ke liye sabse pahle jis bank me account hain uss bank me jaana padta hain, agar account nahi hain toh new account open karwana padta hain.

Mobile or computer me Internet banking ka form full fill karke documents ke sath submit karwaye.
Document submit karwane ke baad  aapko ek default id or password milega jiska use bank ki website or app me login karne ke liye hota hain. Login id or password ko ghar aakar change karle.

Internet Banking Ka Use Kaise Kare



  1. Internet banking ka use karne ke liye jis bank me account hain us bank ki website open kare ya app ko apne android me install kare.
  2. Ab login id or password full fill karne ke baad enter kare, bank ki website open ho jaayegi.
  3. Ab koi bhi transection karne ke liye aapke bank me ragisterd mobile number par ek OTP code aayega jise enter kar koi bhi transection kiya jaa sakta hain.


Internet Banking Use Karte Time Useful Security Tips





  1. Bank se by default id password ko change kare, or ek strong password set kare. password me apni personal details jaise date of birth, name, city name, mobile number na rakhe.
  2. Id password ya OTP kisi se bhi share naa kare.
  3. public palace, cyber cafe, free wifi jaisi jagaho par net banking ka use na kare.
  4. Internet banking me koi bhi error aane par bank se contact kare.
  5. Jis mobile ya computer me net banking ka use kare, work finish ho jaane ke baad log out karna na bhule jisse aapka account hack hone se bach sakta hain.
  6. Browser me id or password save karke na rakhe.


Ye Post Bhi Jarur Padhe

Backlinks Kya Hoti Hain Full Details In Hindi

Blog Ke Liye Quality SEO Friendly Backlink Kaise Create Kare

Top 10 Technical And Educational Blog In India : My Choice

Web Hosting Kya Hoti Hain Latest Version Hosting Kaise Buy Kare Tips in Hindi

Bounce Rate Kya Hoti Hain Bounce Rate Kam Kaise Kare SEO Tips In Hindi



"Net Banking Kya Hoti Hain Net Banking Ka Use Kaise Kare Tips In Hindi" aapko hamara ye article kaisa laga hame commant karke batahiye or ise apne friends ke sath social sites facebook, google plus par bhi jarur share kare Thankyou.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें