शुक्रवार, 27 मई 2016

Blogger Me WordPress Jaisa Comment Box Kaise Lagaye

Blogger Me WordPress Jaisa Comment Box Kaise Lagaye



Hello Dosto Aaj mai aap logo ko ek bahut hi best tricks batane wala hu jo aapke liye bahut helpful rahega Dosto aapne dekha hoga ki wordPress Blog sites me comment ka option kuch alag type ka hota hai jaise hum waha par apna site naam comment aur email dalke publish karte hai to mai aapko bata du ki aapko aur unko kya fyada hota hai Aapka comment wordpress par karne me aapke site ka jo link hota hai usse aapko backlinks milta hai aur unhe bhi usse aapke site se waha publish hone se unka rank badhta hai to dosto aaj mai aapko bataunga ki blogger me wordpress jaise comment kaise set kare


Dosto iske liye aapko kahi par jane ki koi jarurat nahi hai aapko mai kuch settings batanuga jisko follow karke aap wordpress jaisa comment system bana sakte hai

blogger-me-comment-box-lagaye-wordpress-jaisa

Blogger Me Comment Box Me Url Add box kaise set kare


Step 1: sabse pehle aap www.blogger.com open kare phir apne id se login karke Dashboard me jaye


Step 2: Uske Baad Aap setting par click kare phir post and comments par click kare


Step 3: uske baad waha par aap Anyone -includes Anonyus users select karde


Ab iske baad aapka comment me url add karne ka option aaja yega to ek bahut hi simple tricks tha jo bilkul aasan tha mai ummid karta hu aapne kar liya hoga


Ab aaeye jante hai kaise aata hai comment me link add karne ka optuon

sabse pehle aap kisi bhi post ko open kare phir comment box me jaye phir Comment Us Me Namse and url select karde uske baad aapke samne ek popup window hoga jisme aap apna naam aur site link daal sakte hai phir continue par click karke apna comment dal sakte hai




Dosto isse aapko bhi backlinks milega jisse aapke blog ka ranking aur traffic badhega to dosto ye tricks aapko jarur pasand aaya hoga dosto niche aap hame comment box me jaur bataeye



Read More Post:

गुरुवार, 26 मई 2016

Computer/Laptop Ke Folder Aur Background Colour Kaise Change Kare

Computer/Laptop Ke Folder Aur Background Colour Kaise Change Kare




Dosto maine bahut se post computer par dale hai jo aapke kafi kaam aasakti hai aur mera aaj ka topic ye hai ki hum apne computer ke background colour aur folder colour kaise change karte hai is post me aapko 2 tricks bataunga background colour change aur folder colour change karna Dosto aap Dekh sakte hai ki maine apna computer ka folder kaise change kiya hai dosto hum aisa ek softwere ke madhyam se karenge lekin bahut hi kam size ka softwere hai aapko use doswnload karne karna padega to aaeye dosto jante hai

Computer/Laptop Ke Folder Aur Background Colour Kaise Change Kare


Step 1: sabse pehle aapko ye softwere download karna padega jo ki sirf 1 mb ka hai niche download par click karke download kar sakte ho



Step 2:  Ab aapko is softwere ko download karke install karle bas ho gaya


Step 3: ab aapko jab bhi kisi folder ka colour change karna ho simply aap us folder par click kare phir right click karke colourize option par click karke apne hisab se colour change kar sakte hai


Note: Ab mai aapko ye bhi bata deta hu ki phir se Default colour karne ke liye aap folder par right click karke colorize par click karke default par click karde

Computer/Laptop Ke Folder Aur Background Colour Kaise Change kare


Dosto maine aapko uper ye bataya hai ki computer me folder colour kaise change kare mujhe lagta hai aap jarur kar paye honge ab mai aapko ye bata deta hu ki hum apne computer aur laptop background colour kaise change kare jitna simple ye folder colour karna usse bhi jyada simple hai computer background colour change karne aaeye jante hai kaise kare


Step 1: Isme bhi aapko tool download karna padega W7fbc naam ka download par click karke download kar sakte hai



Step 2: Aur jab ye softwere download ho jaye tab aap is softwere ko open kare


uske baad aap kisi bhi folder ko browse kare jisko aap background colour change karna chahte hai uske baad aap change background colour par click kare phir remove background colour par click karke back ground colour change kar sakte hai


isme aap folder text colour bhi change kar sakte hai aur jab sab ho jaye tab aap Mark (√) laga kar softwere close karde


Dosto ab to aapka folder colour ke sath sath background colour bhi change kar liye honge aur agar aapko koi problem aaraha hai to aap hame niche comment karke puch sakte hai


Read More:



To dosto mujhe ummid hai ye post aapko jarur pasand aaya hoga magar kya aapko ye tricks pasand aaya aap hame comment me jarur bataye aur mera Facebook page like jarur kare

बुधवार, 25 मई 2016

Computer Me windows genuine Kaise Kare

Computer Me windows genuine Kaise Kare



Dosto Maine apne pichle post me bataya tha ki windows ko activate kaise karte hai wo kuch aisa tha ki hum apne windows ko ek softwere ke madhyam se activate kar lete hai aur jo activate karne wala softwere hai wo kabhi kabhi expiree bhi ho jate hai lekin windows 7 ko genuine bnana bahut muskil hai lekin yaha par sab kuch ho sakta hai ab maine internet par bahut se softwere talash kiye hai aur unhe use bhi kiya hu lekin sare windows genuine ho jate hai lekin windows 7 nahi hota hai wo kuch is type ka desktop par likhta hai this copy of windows is not genuine ise fix kaise kare mai yaha aapko batata hu bahut simple ye bhi ek tool ke madhyam se hoga jo bahut talash karne ke baad mujhe mila hai


Dosto windows 7 ko genuine bnana bahut bahut hi simple hai ye bhi ek app ke madhyam se hi hoga jo 3.50 mb ka hai aapko sirf ise apne computer me install karna hai bas activate par click kar dena hai to chaliye dosto jante hai ki windows ko genuine kaise bnaye

windows-ko-genuine-kaise-bnaye

Computer Me windows genuine Kaise Bnaye


Dosto steps follow karne se pehle aapko ye bhi bata deta hu ki windows ko genuine bnane se aapko koi problem nahi aayega balki aapka windows aur fast ho jayega aur ye message bhi show nahi karega to chaliye dosto jante hai ki windows ko genuine kaise bnaye

download-remove-wat


Step 1: Sabse pehle aap yaha click karke ek softwere download kare http://www.mediafire.com/Remove+WAT+2.2.6.rar uske baad aap is rar file ko open kare


Step 2: Ab aap is softwere ko open kare Wat.exe ko

Step 3: Ab aapko Remove.Wat par click karna hai uske baad aapka computer restart hone lagega

Ab kuch samay aapko wait karna jab uske baad aapka computer jab open hoga tab aapko isme jaddu nazar aayega aapki sari problem solve ho gaya hoga aapka computer 100% genuine hoga


 To Dosto Aapko ye mera tricks kaisa laga agar aap is tricks ke badle hame kuch dena chahe to aap hamare site ko hamesa yaad rakhe aur yaha par facebook page like jarur kare Thanks Dosto


Read More:

मंगलवार, 24 मई 2016

Computer Me Virus Kaise Bnaye Aur Delete Kare

Computer Me Virus Kaise Bnaye Aur Delete Kare



Dosto aaj ka jamana computer aur mobile ka hai ye to sabko pata hai aur aaj kal internet par internet aur computer mobile se lekar bahut sari tricks share kar diya gaya hai mere khyal se agar aapko kisi chij ki jankari naa bhi ho to aap wo aaj internet se le sakte hai waise dosto aaj mai aapke liye computer me virus kaise bnaye ye trick lekar aaya hu ye aapko jarur pasand aayega aur yaha mai aapko ye bhi bataunga ki computer se virus kaise delete karte hai Aur mai aapko bata du ki agar aapko internet computer aur mobile se related kisi bhi help ki jarurat hai to aap hame niche comment karke puch sakte hai to chaliye dosto aate hai apne post par ki computer me virus kaise bnate hai aur kaise delete karte hai


Dosto is tricks ko share karne se pehle mai soch raha tha ki is tricks ko share naa karu ye to kuch hacking type ka tricks hua lekin phir socha ki chalo share kar hi dete hai aakhir logo ko sab chote mote tricks ki jankari honi chahiye nahi to aaj ke modern jamane me koi bhi kisi ke sath majak kar sakta hai ye bhi ek fun ke liye hi hai apne dosto ke sath so ise wrong kamo me kisi ko paresan karne ke liye naa kare

Computer Me Virus Kaise Bnaye



Computer Me Virus Kaise Bnaye Aur Kaise Delete Kare

Computer me virus bnana koi badi baat nahi hai lekin dekhna ye hai ki computer me bahut tarah ke virus hote hai mai aapko sabki tricks ek ek karke dene wala hu to dosto agar aap comuter me virus bnane ke sare tricks ki jankari chahiye to aap hamare site ko daily visit kare mai jald hi wo baki virus bnane wali tricks bhi share karne wala hu computer me virus bnane ke liye aap hamare step ko follow kare ye tricks ek baar me 1000 folder bana dega aapke computer me

Step 1: Dosto Aap Apna NotePad Open Kare Aur Jo Code Maine Niche Diya Hai Box Me Usko Aap Note Me Paste Karde





Step 2: Ab Aapko Isko Save Karna Hai File .Bat Ke Naam Se

Step 3: Dosto aapka 1000 folder bnane wala virus ban chuka hai Aap jaise hi is file ko open karenge ge 1000 folder banna suru ho jayega aur rukne ka naam nahi lega

Ab aapko isko delete karne ke liye Pura select karke delete karde Nahi to aap CTRL+A Select karke bhi delete kar sakte hai aur sath me us file ko bhi delete karde

Aur agar aapko dobara se yahi virus bnana hai to aap hamare site ka naam yad jarur rakhe phir se is code ko copy karne ke liye nahi to aap is code ko kisi aur naam se save karle to ye code kaam nahi karega


Dosto mujhe lagta hai aap shortcut virus bnana sikh chuke hai lekin kya aapko pata hai hum apne computer me isse bhi jyada khatarnak virus bana sakte hai jiski jankari mai aapko apne agle post me batane wala hu tab tak ke liye Aap hamre site ko visit krte rahe


Read More Post ;


Mobile Me Wifi Password Kaise Hack Kare


Dosto Agar aap logo ko is post se related koi saball hai hai to hame comment karke puch sakte hai thanks

सोमवार, 23 मई 2016

Top 5 Indian Best Hindi Blogger Sites

Top 5 Indian Best Hindi Blogger Sites


Dosto pehle sirf internet par english blogging hi ho raha tha koi bhi jankari hame hindi me mil raha tha lekin jab google adsense ne hindi blogs par adsense ko approve kar diya to tab se indian blogger ki sankhya me kafi badhotari ho raha hai aapko kisi bhi jankari aaj hindi me bhi google par mil jaa raha hai to wahi mai aaj aap logo ko top 10 best hindi bloggers ke bare me batane wala hu ki wo kis chij se related tips and tricks share karte hai unki site ki rank kya hai aur wo adsense se per month kitna income kar lete hai to dosto ye post aapko jarur pasand aayega agar aap blogger hai to


Dosto sabse pehle mai aapko bata du ki aap jis abhi blog par hai wo bhi internet , computer , mobile , blogging se related tricks and tips yaha hindi me share kiya jata hai aur yaha par bhi aapko jankari mil sakti 


Top 5 Indian Best Hindi Blogger Sites

Top 5 Indian Best Blogging Sites


Hindimehelp.com

Dosto aapne is site ke bare me to jarur suna hoga kyoki ye abhi tak sabse popular site hai ye site ko 20-Feb-2015 bnaya gaya tha is site ke owner ka naam Rohit Mewada hai aur inke site par Aapko SEO , Blogging , Internet , online , earning , aur computer mobile se related tips and tricks share kiye hai
Dosto inki site ka globally rank 37899 hai pure world me aur india me inki rank 4711 hai present hai

Ab aate hai in income par dosto hame inki ek post se pata chala hai ki inki site ki earning 6 digit me hota hai matlab 1,00000 se uper hota hai par inki ek khas baat ye hai ki inhone apne site ka income report kabhi bhi share nahi kiya hai


Supportmeindia.com


Dosto is site ka naam se hi pata chalta hai ki ye site india ka hai to iska owner bhi india ka hi hoga aaeye jante hai supportmeindia.com ki kush facts
ye site jummedin khan dwara 17-July-2015 ko bnaya gaya hai aur jummedin khan jo ki is site ke owner hai wo Rajasthan Alwar Se hai aur kafi talanted blogger hai inke site ka maksad bhi hindi me logo ki madad karna hai

jummedin khan apne site ke income report hamesa share karte rehte hai inke site ka Globally rank  35982 hai aur india me inka rank 3674 hai jo bahut hi aage hai inki site ki income report bhi aapko bata dete hai ye 76000 monthly earn karte hai April ki Total Income :Rs 76000 hai inki aur aage bhi inka income report aapko share karunga

Shoutmehindi.com


is site ko Hars Agrawal ne  15 June 2015 ko bnaya tha aur inka maksad bhi logo ko hindi me help karna hai aur inke site ka alexa rank globally rank 77725 uar india me inka rank 8254 hai inka ek aur site hai shoutmeloud.com jo ki english bloggers ke liye hai ye apna income report hamesa yaha par share karte hai

Vikashplus.com

ye site bhi hindi me hai aur is site par bhi internet computer mobile blogging seo se related tips and tricks aapko hindi me milenge is site ke owner ka naam Nikhil Aroara hai is site ki traffic bhi bahut hai aur is site ka globally rank hai 108415 aur indian rank 12563 hai Nikhil Aroara Saharanpur ke rehne wale hai

Kaisekare.in

Dosto aap sab is website ke bhi naam to jarur sune honge jo ki is site par aapko internet,computer,mobile,blogging,ke sath sath aapko health aur bahut si jankri share kiya jata hai is site ke owner ki jankari hamare paas nahi hai is site ka globally rank  83769 hai aur indain rank  8566 hai

Read More:

Blogger Me About Author Box Kaise Add Kare



to dosto aap hame comment me jarur bataye ki ye post aapko kaisa laga waise ye top bloggers mere nazar se top hai india me agar aapki nazar se koi aur hai to wahi sahi

रविवार, 22 मई 2016

Android Smart phone Ki Ram Kaise Badaye

Android Smart phone Ki Ram Kaise Badaye


Dosto mujhe ye batane ki koi jarurat nahi hai ki android me speed naa milne ka sabse bada karan ye hai ki us mobile ka ram kam hona isi liye hamara smart phone hang karta hai aur bahut slow chalta hai to isi liye aaj mai aap logo ko sd card use karke android mobile ki ram jyada karne ke bare me batane wala hu aaj ka mera post aapke liye special hai jo android ka ram kam hote hue bhi uska ram badh jayega aur aapke mobile ka speed bhi badh jayega to dosto agar aap apne mobile ka ram encrease karna chahte hai to is post ko dhyan se read kare aur mere step ko follow kare


Dosto ab aap logo ke dimag me aaraha hoga ki ye kaise possible hai yes ye possible hai ek android app ki madad se jee ha aapko playstore se ek download karna hai uske dwara hi hum apne mobile ka ram badha sakte hai to chaliye dosto start karte hai ki apne android smartphone ki ram kaise badaye


Android Smart phone Ki Ram Kaise Badaye

Android phone ki ram badha ne ke liye Requirements

is pure settings ke liye kya kya jaruri hai ?

1. Aapka Mobile Rooted Hona Chahiye

2. Aur aapke pass 4gb ka memory card hona chahiye

3. Roehsoft Ram Expander (App)


Important Notice: Dosto agar aapka memory format nahi hai to sabse pehle aap apne memory ko format karle

Abhi mai aapko bata deta hu ki apne mobile ko root kaise kare

Android Smart Phone Ko Root Kaise Kare

Android Mobile Ko Root Kaise Kare

Dosto Apne android smart phone ko hum bahut aasani se root kar sakte hai root karna bahut aasan hai aapko bas ek app download kare root par click karna hota hai chaliye jante hai ki kaise root kare apne android smartphone ko

1. sabse pehle aap yaha click karke Kingoroot download kare

2. uske baad jab aapka app download ho jaye tab is app ko open kare

3. uske bad ab aapke samne root karne ka button hoga aap root par click karde

4. uske baad aapka root process start hone lagega jaise 0% to 100% aise hoga

uske baad aapka root hona start ho jayega kuch time lag sakta hai aapka mobile root hone me dhyan rahe aapka mobile root hone wakt internet data on hona chahiye 3g pack me uske baad aapka mobile root ho jayega

to dosto dekha aapna apna mobile root karna kitna simple hai aur wo bhi bina pc ke

ab aap apna steps jari rakhe android ka ram jyada karne ke liye

Android Phone Ki Ram Kaise Badaye ? Step By Step

Step 1: sabse pehle aap roehsoft ram explore download kare agar ye app yaha download naa ho to aap ise google par search karke download karle

Step 2: uske baad aap is app ko install karle apne mobile me uske baad aap apna mobile restart karke is app ko open kare

roehsoft ram explore

Step 3: uske baad aapko swpfile par click karke right ki aur drag kare aapko jitna ram jyada karna hai utna drag kare right ki or screen shot me aap dekh sakte hai

Step 4: ab uske niche wala ko aapko full right ki aur swipe kar dena hai 100%


Step 5: uske baad aapko activate par click karna hai aur jab tak aapka swap file create naa ho tab tak aap wait kare

roehsoft ram explore

Dosto jab aap activate par click karoge tab aapka swip file jab tak 100% naa ho jaye tab tak aapko wait karna hai aur jab aapka swap file jab create ho jaye tab aap is app ko close karde phir aap apne smart phone ko restart kare aur haa sabse important bat aapko bata du ki ye sirf aapka virtual ram hi badhega matlab ki aapke phone me ram badhne par show nahi karega par aapka handset bahut fast ho jayega


Ab aapko kuch karne ki jarurat nahi ab aapko apne mobile ke setting me jana hai uske bad aap about phone par click kare phir built number par 7 bar tap kare phir ab ek bar phir aap apne setting me jaye uske bad aap developer mode par click karke uske off karde ab aapka mobile super user ke sath sath super fast bhi ho jayega


Read More:



To dosto mujhe pura wisvas hai aapko ye mera post jarur pasand aaya hoga aur mujhe wiswas hai aap hamare site ke facebook page ko like karna naa bhuloge agar aapko is post se related koi jankari chahiye to aap hame comment karke puch sakte hai

Top 10 Android Tips And Tricks Hindi Me

Top 10 Android Tips And Tricks Hindi Me


Dosto aaj duniya lagbhag sare aadmi ke pass mobile ho gaya hai ghar ghar me mobile hai aur usme se sabse jyada dikhne wale mobile smart phone hi honge kyoki aaj kal sare android smart phone ke piche bhag rahe hai mana ki other bhi bahut sare acche brand ke mobile hai Ex. soni , apple , blackberry ,ye sab bhi hai lekin pure world me ye record ban chuka hai ki android sabse jyada popular handset ban chuka hai to dosto aaj mai android ki tips tricks ki baat karenge unke kuch problem aur solution bhi janege agar aapke pass bhi koi bhi android smart phone hai aur aap bhi apne mobile ye tricks apnana chahte hai to aap mere post ko pura jarur read kare isi liye mai aapko Top 10 Android Tips And Tricks Hindi Me dene wala hu


Yaha par aaj mai android ki top 10 tricks and tips batane jaa raha hu jiski madad se aap apne smart phone ko aur atcha aur smart bana sakte hai isme aapko android ki bahut sari batte sikhne ko milegi to chaliye dosto jante hai

ANDROID-TO-10-TRICKS

Top 10 Android Tips And Tricks Hindi Me

Android ko fast kaise kare ?

Dosto bahut dino se mere pass comments aur whatsapp par messages aarahe hai ki hum apne smart phone ko fast kaise kare jab android new hote hai to kuch din sahi chalte hai lekin kuch din old ho jane ke bad unke processor me thoda fark dikhne lagta hai kam ram hone ki wazah se jiska karan aapka android hang aur slow ho jata hai lekin mai ek trick btata hu jiski madad se aap android smart phone ko fast bana sakte hai

Ans:   sabse pehle aap apne android mobile ke setting me jaye phir about device par click kare uske phir build number par 7 bar tap kare uske bad aap apne mobile ke setting ko phir open kare uske bad niche aapko developer option dikhae dega usko open kare waha par ek on,off ka buttom hoga waha par aap off karde bas ho gaya aapka android fast

Note: aur agar aap aur bhi fast karna chahte hai to aap unusable app ya game ko uninstall karde aur google play games (google play service) ko hames update rakhe


Android smartphone ka pattern kaise tode ?

Dosto ye to bahut aam si baat hai aap log apne mobile me pattern lock to jarur lagate honge apne mobile ko safe rakhne ke liye aur kabhi kabhi aisa hota hai jaldibagi me lagaya gaya password ya pin lock aap bhool jate honge to aaj mai aapko iska solution bhi bata deta hu kaise tode pattern lock lekin haa isme aapka pura phone memory data delete ho jayega kyoki aapka handset format hoga 

Ans: aap apne smart phone ka power buttom + valume up buttom ko ek sakth press kare 15 second tak ab aapke samne ek menu open hoga usme aapko factory reset select karna valume buttom ki madad se phir ok ke liye power buttom ko press kare phir yes par click karke mobile format karde aapka pattern lock toot jayega

Note:
aap apna handset swich off karle phir sabse pehle bata du ki agar aapka smart phone samsung hai to usme aapko 3 buttom ek sath press karna hote hai aur other 2


Android phone ki battery life kaise jyada kare ?

Dosto aap apne mobile me video aur song sunne ya dekhne ke chakker me ye bhool jate hai ki hamare mobile ka battery back sahi hai ya nahi kahi koi battery par problem to nahi isi liye abhi mai aapko aapke smart phone ki battery ke life ko jayada time tak karne ka tips bata raha hu

Ans: uske liye aap sabse pehle apne mobile useless softwere aur games aur live wallpaper ko delete karde jo aap use nahi karte hai uske bad aap apne mobile ki brightness ko kam karke hi rakhe jisse aapke mobile ke baatery lambay samay tak chalega aur sabse important baat koi bhi kaam mobile me ho jane ke bad us function ko turant hi off karde ex: wifi,hotspot,bluetooth,gps,mobile data,

Note: Agar aap in sare bato ko ignore karenge to aapke mobile ki battery life yakinan hi bahut jald kam ho jayegi aur dekhte hi dekhte aapko presani jhelni padegi


Android me network fail ya link fail kaise solve kare ?

Dosto agar aap android smart phone use karte hai to aapko ye to pata hi hoga ki jyada tar android smart phones network problem hota hai ya emergency network me hota hai iska ek solution sayad aapke mobile me kaam kar jaye try karne me kya jata hai

Ans: jab aapka network turant hote hue bhi bhag jaye tab aap setting me jaker flight mode ko 1 minute tak on kare phir off karde aapka link ya tower wapas aaja yega

Note: ye jyada tar problem low prices wale smart phone ya chinies phones me hota hai


Android ko hang hone se kaise roke turant hi ?

Hello Dosto jab aapka smart phone hang karta hai to aap kya karte hai simple aap apne smart phone ko swich off karke phir open karte hai lekin ye tricks aapke kafi helpful rahegi agar aapke mobile ki ram 512 mb ya isse kam hai to aap is trick ki madad se apne mobile ko hang hone se bacha sakte hai sabse pehle aap apne smart phone ko fast karle uper maine tricks bataya hua hai ab hang ka bhi bata deta hu

Ans: aap apne mobile ke setting me phir application manager me jake us app ko close karde jiski wazh se aapka mobile hang kar raha ho aur use turant hi uninstall karde aur clear ram par click kare

Note: agar aap us softwere ko uninstall karna nahi chahte hai to use hamesa setting ke task manager me jake clear data karte rahe taki wo applicatin jaldi hang naa kare


Android mobile me bina kisi app ke songs,images,data,kaise,hide,kare ?

Dosto kya aapko pata hai ki bina kisi app ke hum apne android phone me images data kaise chupaye ye mera ek dost inder ne mere se ye question pucha tha ki hum bina kisi app ke kaise data chupaye android me computer ki tarah to dosto aap jarur chupa sakte hai chaliye jante hai kaise

Ans: agar aapke pass android phone hai to aapko pata hi hoga ki file manager me ek android ka folder default hota hai mana jaye to aapke android ka backup bnata hai jo kisi chij ko recovery ke kaam aata hai aur wo folder hi hide folder hota hai matlab ye ki aap agar us folder me kahi bhi koi image ya song ya video rakhe aur mobile ke gallary khol kar dekhe wo video ya iamge show nahi hoga aap usme kahi bhi rakh de lekin dhyan rahe ki aap us android wale folder ko delete hi naa marde bhool kar kyoki aisa jyada log karte hai

Note: aap us android folder me jaha bhi apna data rakhe us folder ka naam yad rakhe nahi to aap bhool sakte hai jisse aapko dundhne me paresani hogi


Android handset camera ki images ki size kam kaise kare ?

Dosto mujhe ye aapko batane ki koi jarurat nahi hai ki koi bhi android phone ka camera atcha ho ya naa ho lekin capture karne par kafi space leti hai images iska ek solution hai jiski madad se images ki size kam ho sakta hai bina quality par asar padte hue

Ans: aap apna camera open kare phir setting me jaye uske baad aap resulation me jake aapko jitni sizes ki images chahiye hogi apne anusar select karle

Note: ye jo tricks hai aapke camera quality par koi asar nahi padega is liye aapko ye jarur kar lena chahiye


Android phone me text backup kaha save karte hai ?

aapko agar kuch apne mobile me type karte hai ya koi message ya koi naam ya kisi ka koi personal imformation turant kaha save karte hai mere khyal se aap sayd messages me jake save karte honge jisse aapko kafi time lagta hai usme hame ye bhi malum nahi hota hai ki kaise save kare lekin aapne samne hi aisa app moujood hota hai lekin aap use miss kar jate hai memo 

Ans: isme aap apna kuch bhi text type karke save kar sakte hai phir jarurat padne par read kar sakte hai jo aapke liye important hai maan ligiye ye app diary ki tarah hota hai

Note: isme aap kuch bhi type karke save kar sakte hai aur agar koi personal information hai to aap isme type karke save karde phir is app ko disable karde jisse ye app hide ho jayega


Android phone me voice search kaise kare ?

Dosto kya aap apne hone me bina type kiye internet chalana chahte hai to aap voice search karke aisa kar sakte hai magar iske liye aapko 3g net pack ki jarurat padti hai aaeye jante hai kaise search kare voice

Ans: aapke android ke menu me internet ke naam se ek browser aayega usko open kare usme aapko bolne wala mayak jaisa kuch dikhae dega aap usper click karke kuch bhi bolke search kar sakte ho

Note: ye voice search 2g me bhi search karta hai lekin bahut 2g network slow hone ki wazah se kabhi kabhi ye kaam nahi karta hai


Apne dost ke whatsapp par sms bheg kar uska mobile kaise hang karwaye ?

Dosto ye trick aapke liye special hai aur funny bhi hai jisse aap apne dost ko paresan kar sakte hai maje le sakte hai jee haa aapne sahi suna hai aap apne dost ke pass sms bhej kar uska mobile aur whatsapp crash karwa sakte hai jo ki bahut hi simple hai aeye bata deta hu kaise hota hai

Ans: iske liye aap sabse pehle playstore se ek app search karke download kar whatsapp boomber app ya google se download kare aap yaha click karke bhi download kar sakte hai uske bad level select karke open kare usme aapko copy ka option dikhae dega aap us message ko copy karke apne kisi ke whatsapp par send karde jab wo is message ko read karega tab uska whatsapp crash kar jayega

Note: mujhe lagta hai iske liye aapko aur jankari dena hoga ye aapke liye bhi hani kar sakte hai pehle iske bare me yaha se puri tarah jaan le

Kisi Ka Bhi Whatsapp Kaise Crash Kare Bomber App Se Yaha se



Read More post:



Dosto mujhe pura wiswas hai ki ye tricks aapko jarur pasand aae hogi to mai aapse yahi kena chahta hu ki agar aapko other kisi bhi jankari ki jarurat ho aap yaha par comment me puch sakte hai aur mere site ko hamesa visit karke kuch na kuch jarur sikhe is post ko lekar aapke man me koi sabwall hai to aap comment me puch sakte hai

शनिवार, 21 मई 2016

Apne Whatsapp Number Ko International Number Me Kaise Change Kare

Apne Whatsapp Number Ko International Number Me Kaise Change Kare

Apne Whatsapp number ko kaise change kare


Hello Dosto Aaj mai aapko ye batane wala hu ki whatsapp ko international number me kaise change kare Apne mobile number ko iternational bana sakte hai dosto maine bahut se whatsapp tricks dale hai apne site pe lekin aaj ka mera post aapke liye special hai kyoki aaj aap is post ko read karke apne number ko international number me change kar sakte hai jaise agar aapka number indian hai to aap use kisi bhi other country ke number jaisa bana sakte hai jo bahut hi cool hoga aapka whatsapp number ek professional number me convert ho jayega to dosto agar aap apne mobile number ko international number me change karna chahte hai to mere post ko aaram se read kare


Dosto ab mai aapko iske fyade aur nuksan bhi bata deta hu dosto aapko apna number international number me convert karke fyada hi fyada hai kyoki agar aap apne number kisi ko dete bhi hai to wo sirf aapse whatsapp par hi chat kar sakta hai agar wo call karna chahte to wo nahi kar sakta aur agar aap ladies hai to aapke liye aur bhi best hai kyoki agar aap kisi ko apna ye number dengi wo aapse whatsapp par hi chat kar sakta hai call nahi aayega to chaliye dosto jante hai is tricks ko

whatsapp-number-change-kare

Whatsapp Number Ko International Number Me Kaise Change Kare


Whatsapp number ko international number me change karne ke liye aap ek app Playstore se download karna hoga

1. sabse pehle aap yaha se voxox app download kare

2. uske bad apne mobile me install karke open kare uske bad sign up kare jo bahut hi simple hai signup karna

3. uske bad aap more par click kare jaha aapko voxox number dikhe dega usko aap note karle kahi pe

voxox-me-more-par-click-kare

4. Ab aap apna whatsapp open karke whatsapp setting me jaye phir uske bad account me jaye phir change number par click kare


5. uper wale me apna old mobile number enter kare phir ab jo aapko voxox me number mila hai use aap niche enter kare + 1 lagakar done par click karde


to dosto ab aapka number international number me convert ho gaya hoga to aap bhi soch sakte hai ye kitna easy tha to dosto agar aapko mera post pasand aaya ho to apne dosto ke pass is post ko jyada se jyada share karke mera bhi help kar sakte hai aur agar aapko kahi pe problem ho raha hai to aap mujhe comment karke puch sakte hai hame aapki help karne me khusi hogi thanks


Read More:


agar aapko ye mera post pasand aaya hai to aap mere site ke facebook page jarur like kare thanks